Thursday, June 11, 2009

Itni befikri se kaise so sakti hain ye aatmaayein, koi toh pehredaar hoga! Kal jab lut jaayega insaan ka ye jahaan to kaun zimmedaar hoga!

Umar badh jati hai is jahan mei har kisi ki, siwa us aatman ke jisse zindagi hai sabhi ki! Kya tujhe hai pata kya umar hai teri aatman ki!
Yun toh gehri hai neend meri aatman ki, par jab kabhi jag jati hai to sihar jati hai dekh kar ye halat mere banaye hue is jahan ki!
Bade dino se kuch sawaal the zehen mein, socha tha is baar jab jagegi meri aatman toh inke jawab mil jaayenge par lagta hai sapnon ki dunia hi ab duniya hai meri aatman ki.
Nikal padi main talaash mein ek jagti hui aatman ki! Jaha dhoonda wahi paaye maine kuch murjhaaye, kuch khilkhilaate hue chehre par aatmaayein sab soi hui;
Ek taraf Surya ka ujaala kehta hai din sar pe chad aaya hai wahin soti hui aatmaayein ek andheri raat ki taraf ishra karti hain! Itni befikri se kaise so sakti hain ye aatmaayein, koi toh pehredaar hoga! Kal jab lut jaayega insaan ka ye jahaan to kaun zimmedaar hoga!

2 comments:

  1. Hmm. Very Interesting. Am looking forward to read more, however would be better if you could induce some punctuation there and maybe change the theme to a lighter shade. It is kind of difficult to read on black background.

    ReplyDelete
  2. I'm not sure 'bout others, but at least your soul is alive, awaken enough to ask, to reason it out. The key to the awakening is "The Purpose"...

    ReplyDelete

Creative Commons License
This work is licensed under a Creative Commons Attribution-NonCommercial-NoDerivs 2.5 India License