Friday, July 10, 2009

Badi Batooni Hai Meri Khamoshi

Kuch ajeeb si hi hai meri aawaaz. Jab auron ko sunai nahi deti tabhi ehsaas hota hai mere kaanon ko iski goonj ka.
Din raat baton ka silsila yuhin chalta rehta hai zehen mein; aksar itna shor mach jata hai ki shak hota hai, koi aur bhi hai ghar mein. Talaashne pe maloom hota hai sirf sannata hai is ghar mei.
Itna shor kaise machati hain yeh aawazen jo mujh mein panap kar mujh mein hi reh jaati hain? Jab kabhi bagaawat pe utar aati hain kuch aawajen anjaam bura hota hai inka!
Chori chhupe jab kabhi bahar nikal aati hain yeh aawaazen inhen bina gawaah, bina mukaddama mujrim karaar de dia jata hai.
Isse to behtar hota kabi baahar na aati yeh awaazen. Ilzaamon ka bojh lekar marr bhi toh nahi sakti yeh aawazen.
Creative Commons License
This work is licensed under a Creative Commons Attribution-NonCommercial-NoDerivs 2.5 India License